Sunday, 1 March 2015

"Itna na mujhe hasao jindagi"

When life gives u success and happiness u wished after lots of pitfalls in ur life , there with happiness uncertanity do come , a fear of loosing all . This poem descirbe the feeling do read

" itna na mujhe tum hasao jindagi "
Itna na tum mujhe hasao jindagi..
darta hu kahi ye sapna na ho..
Kacche dhago se jude rishto ka totna , jhen mai aaj bhi hai...
Band kamre mai gum ke andhiyaro mai khusi ke lambho ko dhudta chehra , jhen mai aaj bhi hai...
Yo na jine ki aas jagao jindagi
Itna na tum mujhe hasao jindagi...



Yo to khusi ka koi pemana nahi hota
Halki si muskan de kar , khusi ke chand lambho ko na ginwao jindagi..
Itna na tum mujhe hasao jindagi..


Janta hu mai ek kadwa sach
Jin kanno mai hasi ke thaake gunj rahe hai , unhi kano mai kal tum siskiya sunwaogi
Pal pal jo tum yaddein baat rahi ho
Unhe bhulane ke liye rat rat jaga kar rulaugi
Yo na meher barsao jindagi
Itna na tum mujhe hasao jindagi


Aaj nahi to kal tum khusi ki kimmat lene aoogi
Jis waqt ko dost bana rakha tumne mera , kal usse dusman bana ke jaoogi
Mere nam dil ko pathar na banao jindagi
Itna na tum mujhe hasao jindagi...
itna na tum mujhe hasao jindagi...

No comments:

Post a Comment