Sunday 1 March 2015

Stop Acid Attack



Increasing no. of ‪#‎acid_attacks‬ in our society have ruined many lives , this poem describe's the feeling the pain of one of the victim.
Akeli bedhi gum sum si
Na jane kya dekhti hain apni parchayi mai..
Sab se takkar lene wali khusi 
Hai gam ki angdayi mai...

Woh chekti muskan jane kha gum ho gayi hai
Woh bad bad karti juban kyo chup ho gayi hai
Barrish ki bundo ko jo ankein band kiye , rehne deti thi apne chehre per
Kyo shem udhti hai , hawao bas ke chune per
Sach kehtein hai log ,Kuch wakiya jindagi ki tasveer badal dete hai..
Bas 5 min keh ghanto sajti savarti khusi , nahi dekhti ab aaine mai..
Tasveer nikalwane ki shaukeen khusi
Taakti rehti hai khud ko purani tasveero mai...
Kab tak , masoom khusi chehra chupayi bedhi rahegi ..
Kab tak, jo log khusi ki iss halat ke zimedaar hai , galiyo mai be bebak ghumte rahenge...
Kab tak , sacche pyar mai dhokhe ka hawala de , ye apni hewaniyat ko bhadawa dete rahenge...
Kehti hai khusi parchayi usse aaj bhi pehli jesi lagti hai..
Jis parchayi se shikayat karti thi, tum mera hasta chehra nahi dikhati...
aaj usi se kehti hai tum hi ho jo mere jalla chehra mujhe yaad nahi dilati..
Khusi ko jaroorat hai parchai ki "hamari" jo usse aaj bhi pehle ki tarah dekhe ,jo uska sath na chode ,chehkti muskan na de sake to kam se kam gam ka saya bhi nahi, ..
‪#‎STOP_ACID_ATTACK‬

No comments:

Post a Comment