Sunday 13 July 2014

Hath ki lakeer


Lakeero ki ye paheli smajh mai na aye Dekh hath koi man man muskaye to koi sir peet ansuan bhaye Koi khoz apni taqkdeer ka rasta , lakiro mai ullazha jaye To koi mehnat kar taqdeer ko unhi lakeero per chalaye Koi paap ke hath dho kar , lakeero ko mitaye To koi sangarsh ki suyi se apni khudki lakeere banaye Koi usse mehndi se sajaaye To koi usse khoon se range hone ke karan chupaye Koi usse ansuon se nehlaye To koi use passine se mehkaye Koi lakeer sapno ki jindagi dilaye To koi lakeer rat rat jagaa kar rulaye Koi lakeer apno ko dur le jaye To koi lakeer gero mai apno ka ehsaas dilaye Koi lakeer jine ki aas jagaye To koi lakeer dhadkte dil ko tod mudd jaye Lakeero ki ye paheli smajh mai na aye Dekh hath koi man man muskaye to koi sir peet ansuan bhaye

No comments:

Post a Comment