Chalo aaj rang dete hain..
Jindagi ke her ek panne ko rang dete hain..
Chalo rang dete hain, logo ke sapno ko...
Chalo rang dete hain, berang aasuoo ko...
Kab tab ye berang hoti jindagi mai jiyenge
aoo chalo rango se kheltein hain
ye soche bina, konsa rang , kiska rang, bas rang dete hain
Asaman ko hara ,badal ko lal , pedo ko gulabi
Jo dil kahe uss rang se, rang dete hain
Bhala khusiyo ka bhi koi rang hota hain
Kya farak padta , hath gande ho jaye ya kapde..
Aoo aaj daago ko bhi rang dete hain
Ruthe chehro ko , muskan se rang dete hain
Gehre ghavo ko , marham se rang dete hain
Hatash logo ko , sapno se rang dete hain
Soti aawam ko , kranti se rang dete hain
Jo rang bikhre padein hain ,unhe samet lete hain
Dharam se bikhre rango ko, aoo prem ke ek rang se rang dete hain
Rang dete hain bacho ke bachpan ko
Rang dete hain manta ke achaal ko
Rang dete hain khudko insaniyat ke rang se
Bikhre rang acche nahi lagtein
aoo unhe mila indradhanush sa khoobsurat banatein
aoo unhe mila indradhanush sa khoobsurat banatein
No comments:
Post a Comment