Jeevan mera patang sa Udne ko betaab tha Asmaa ko chuumna hi ek khawab tha Asan nahi udaan, Muskilo ka selab tha Girne se darta nahi , gir ke udne ka ek apna alag hi ruaab tha
udne ko betaab tha Hawa ke thapedo ne Asma mai mujhe therne nahi diyaa Mai sarsaraya phadphadaya per haar na mani Kismat ne jo di ,dheel mujhe, to asma ko chuum kar hi saans thami Sathi patang ko mai apna dost samaj betha Sath mil kar hawa ka rukh modne ke sapne bun betha Jisse mai galle laga raha tha woh mujhe hi kaat betha Mai nadan, tuje kese apna dost samaj betha Uchayi panne ke sukh mai ,mai dhut tha Dzor katne ke dukh se mai berukh tha Akela asman mai belagam ghum raha tha Niche khada apna koi ,hath mai dor liye ro raha tha Akela udaa tha akele gir raha hu Jindagi ke bacche do pal sukoon se ji raha hu Asmaa ko mai apna maan bedha tha , phir se ja jameen mai mil raha hu Jeevan mera patang sa
very nicely written and its a truth of life :)
ReplyDelete